Tuesday, July 6, 2010

Tanha mujhe karta hai,mehfil bhi sajata hai


Tanha mujhe karta hai,mehfil bhi sajata hai
Duniya se alag kar kay, ik duniya basata hai

Hai dil me nehaan lekin ankhon sey ayaan ho kar
Woh apna pata saari duniya ko bata'ta hai

Dil mera dukhaney ka poocho na sabab kya hai
Main yaad rakhon isko, yeh yaad dilata hai

Boondhon ki isey rim jhim iss darja lubhati hai
Ruk jaye agar baarish, woh mujhko rulata hai

Kya poochte ho isey barbaad huwa kyunkar
Apnoo kay diye dukh hain, khud se bhi chhupata hai

Gulshan ho kay sehra ho, basti ho beyabaan ho
Woh rahat-e-safa teri yaadon ko banata hai

Milney se isey rokay ay ana iski
Khud ka hai qafas, khud ko qaidi woh banata hai

No comments:

Popular Posts