Ghum-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak
merey dil bata yeh mujhko, karoon ussko pyar kab tak
yeh hujoom-e-na-muradi ghum-e-be-shumar kab tak
terii baat kaa bharosaa teraa intezaar kab tak
shab-e-hijr ki udasi kahin mujhko lay na doobey
meri dharkano pe hoga tera ikhteyar kab tak
na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeedein
teri raah guzar takun mein shab-e-wasl-yaar kab tak
mein nikal pari thi tanha liyey saraey ranj dil par
magar phir khayal aya keh sahoon yeh baar kab tak
merii aankhein takrahi hein teri wapsi ki raahein
tu hi ab bata dey mujhko karoon intezar kab tak
mujhay yoon tou dey geya hay wuh dilasa jatey jatey
magar ab yeh sochti hoon karoon eaitbaar kab tak
buhat ilteja ki uss ney ,kaha us nay nahi jao
magar uss ki be-dili ka bhala sehtii waar kab tak
No comments:
Post a Comment