Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tuney mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi
Neend ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
Yun laga jaise wo shab ko dair tak soya nahi
Har taraf deewar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Keh sake jo dil ki halat wo lab-e-goya nahi
Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Kat'ta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahi
Janta hoon aik aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi
No comments:
Post a Comment