Bichar kay mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
Adhura chand bhi kitna udas lagta hai
Yeh visaal ka lamha hai ise raayegan na samajh
Kay is kay bad wohi duriyon ka sahara hai
Kuch aur dair na jharta udasiyon ka shajar
Kisse khabar tere saaye main kon baitha hai
Yeh rakh-rakhao muhabbat sikha gayi usko
Woh ruth kar bhi mujhe muskura kay milta hai
Main kis tarah tujhe dekhoon nazar jhijhakti hai
Tera badan hai kay yeh ainoon ka dariya hai
No comments:
Post a Comment