jisse naaz sheesha-e-dil pe hai, usse shayad iss ki khabar nahi
ke ye patharon ka dayaar hai, yahaan koi aayeina'gar nahi
wo musafir-e-shab-e-zeest hon, ke kisi ki mujh pe nazar nahi
mere raaste ki sahar to hai, mere raaste mein sahar nahi
mere saath saath ravaan to hai, koi saya sa kisi yaad ka
hai wohi shareek-e- safar mera, jo mera shareek-e-safar nahi
gham-e-dil tera gham-e-dil sahi, issey kar tu nazr-e-gham-e-jahan
wo charaagh koi charaagh hai, jo charaagh-e-raah-e-guzar nahi
ye shamim-e-ishq ki be.dili, ye hayat-e-fan ki udaasiyaan
mere shehr-e-gham mein hai kon si, wo gali jo khaak basar nahi
main kisi ke husn ki dilkashi, jo bayaan karoun to bhi kis tarah
ke nazar ke paas zabaan nahi, to zabaan ke paas nazar nahi
ye dayaar-e-ghaflat-e-shauq hai, na hamare saath chale koi
ke guzar rahein hain wahaan se hum, jahan khud hamara guzar nahi
na hii ghuncha-e-dil khila, na mili hayaat ko roshani
ye sehar to aur kisi ki hai, ye sehar hamari sehar nahi
No comments:
Post a Comment