Mujhe apne zabt pe naaz tha Sar-e-raat bazm yeh kya huwa
Meri aankh kaise chahlak gayi Mujhe ranj hai kay yeh bura huwa
Meri zindagi kay chiraagh ka Yeh mezaaj kuch naya nahi
Abhi roshni, abhi teergi Na jalaa huwa , na bhuja huwa
Mujhe koi bhi dushman-e-jaan mila Woh pukhta'kaar jahan mila
Na kissi ki zarb ghalat pari Na kissi ka teer khataa huwa
Mujhe rastey main para huwa Aik ajnabee ka khat mila
Kahiin khoon-e-dil se likha huwa kahiin aanso'on se mitta huwa
Mujhe humsafar bhi mila tu woh Sitam zarf meri tarhan
Kayiin manziloon ka thaka huwa Kayiin rastoon main lutta huwa
No comments:
Post a Comment