Apne hathoon ki laqeeron main chupa ley mujhko
Main hoon tera naseeb, apna bana ley mujhko
Main jo kaanta hoon tu chal mujhse daman bacha kar
Main hoon gar phool tu jhoorey mein saja mujhko
Main khuley dar kay kissi ghar ka saman hoon pyare
Tu dabey paon kabhi aa kay Chura ley mujhko
Tarq-e-ulfat ki kasam bhi koi hoti hai kasam
Tu kabhi yaad tu kar, bhoolne walay mujhko
Mujhse tu poochne aya hai wafa kay maa'ni
Yeh teri sada dili maar na dalay mujhko
Main samander bhi hoon, moti bhi hoon, ghota zan bhi
Koi bhi naam mera ley kar bhula ley mujhko
Tuney dekha nahin ainey se agay kuch bhi
Khudparasti main kahiin tu na ganwaa ley mujhko
Kal ki baat aur hai, main ab sa rahoon yan na rahoon
Jitna jee chahey tera, aaj sata ley mujhko
Band kar sang-e-wafa kar diya gharqaab tuney
Kon aisa hai jo ab dhoondh nikaley mujhko
Khud ko baant na daloon daman daman
Kar diya agar tuney mere hawale mujhko
Badah phir badah hai, main zeher bhi pii jaon 'qateel'
Shart yeh hai, koi bahoon main sambhaley mujhko
No comments:
Post a Comment