Ab shikwa kisi se kya karna,taqdeer mein jo likha tha mila
Gham kal bhi mera sarmaya tha, gham mera virsa aaj bhi hai
Khwaab jhootey kissi ko dikhaya nahin karte
Meri jaan! yun kissi ko rulaya nahi karte
Aik baar yun kissi ko keh kar apna
Daaman phir uss sey churaya nahin karte
Uske intezaar se bhala kya hoga haasil
Anay ka keh kar bhi jo aya nahin karte
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seeney mein
Doosroon ka dil phir woh dukhaya nahin karte
Do qadam saath chal kar jo juda ho jayen
Aise logoon ko tu humsafar banaya nahin karte
Kis tarah guzarti hogi zindagi unki
Pehli muhobbat ko jo dil sey bhulaya nahin karte
Yeh moj'zaa bhi muhobbat kabhi dikhaye mujhe
Kay sang tujh pe girey aur zakham aye mujhe
No comments:
Post a Comment