Asar kuch bhi tera harf-e-shikaybi nahi karta
Yeh marhoom mere zakhmoon ki maseehayi nahi karta
Na'janay kaisi veraani bassi hai apni ankhoon mein
Koi manzar nigahoonki pazirai nahi karta
Kabhi abaad thi dil main mussarat aur ab yun hai
Kay gham bhi iss khandarr main bazm'arayii nahi karta
Yeh kaisa shehar hai kay Be'murawat log hain iske
Yahan koi hamare saath achayi nahi karta
Sadaa atii hai aik umr se Dil kay parinday ki
Yeh taair muddatoon se naghma sirayii nahi karta
Bass Ab khamosh rehne ka irada kar liya humne
Fughan bekaar hai jab koi shunwayi nahi karta
No comments:
Post a Comment