Khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
Kiya jata hai pani main safar ahista ahista
Koi zanjeer phir wapis wahin par ley kay ati hai
Kathin ho raah to chhout'ta hai ghar ahista ahista
Badal deina hai rasta yan kahin par baith jana hai
Kay thak'ta ja raha hai hamsafar ahista ahista
Khalish kay sath is dil se na meri jaan nikal jaye
Khinchey tir-e-shanasai magar ahista ahista
Huwa hai sarkashi main phool ka apna ziyan, dekha
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista ahista
Meri shola mizaji ko woh jungle kaise rass aye
Hawa bhi sanss leti ho jidhar ahista ahista
No comments:
Post a Comment