Tuesday, July 6, 2010

Na gubar main na gulab main mujhe dekhna


Na gubar main na gulab main mujhe dekhna
Mere dard ki aab-o-tab main mujhe dekhna

Kissi waqt sham malal main mujhe sochna
Kabhi apne dil ki kitaab main mujhe dekhna

Kissi dhun main tum bhi jo bastiyoon ko tyag do
Issi rah-e-khana'kharab main mujhe dekhna

Kissi raat mah-o-najoom se mujhe poochna
Kabhi apni chashm-e-purab main mujhe dekhna

Issi dil se ho kar guzar gaye kayiin karavan
Ki hijraton kay zab main mujhe dekhna

Main na mil sakoon bhi tu kya huwa kay afsana hoon
Nayi dastan naye baab main mujhe dekhna

Mere har har sawal main mujhe dhoondna
Mere geet main mere khwaab main mujhe dekhna

Mere ansuon ne bujhai thi meri tishnagi
Issi bargzida sahab main mujhe dekhna

Wohi ik lamha deed tha kay ruka raha
Mere roz-o-shab kqy hisaab main mujhe dekhna

Jo tarap tujhe kiasi aainey main na mil sakey
Tu phir aainey ke jawab main mujhe dekhna

No comments:

Popular Posts