Galli Main Dard Ke Purzey Talash Karti thi
Mere Khatoot ke Tukrrey Talash Karti Thi
Bholaye Koun Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadmey Talash Karti Thi
Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Pattey Talash Karti Thi
Qayyam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi
Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhey Talash Karti Thi
Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payarey Talash Karti Thi
Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbey Talash Karti Thi
Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi
Duaayeen Karti Thi Ujrrey Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi....
_________________
No comments:
Post a Comment