Misal e abr zameen ka libaas ho jaon
jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon
tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon
ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon
bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon
Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
dua karo kay main phir se uddas ho jaon
meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
main apne aap tera iqtbaas ho jaon
ab apne aap sanwarnay ka shok kia mohsin
kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon
No comments:
Post a Comment