Pas-e-marg mere mazaar par jo chirag kisi ne jala diya
Usse ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya
Mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
Woh jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya
Dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
Kahin javey us ka na dil dahal meri lash par se hata diya
Meri ankh jhapki thi aik pal mere dil ne chaha kay uth kay chal
Dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le kay jaga diya
Zara unki shokhi tu dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
Mere pichey aye dabe-dabe mujhe sanp keh kay dara diya
Main ne dil diya main ne jan di magar ah! tuney na qadr ki
Kisi bat ko jo kaha kabhi usse chutkiyon mein uraa diya
No comments:
Post a Comment