Yeh daagh daagh ujaalaa, ye shab guzidaa sahar
Woh intazaar tha jis kaa, yeh woh sahar to nahin yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lekar
Chale thy yaar key mil jaayegii kahin na kahin
Falak kay dasht mein taaron ki aakhri manzil
Kahin to hogaa shab-e-sust mauj kaa saahil
Kahin tu jaa kay rukegaa safinaa-e-Gham-e-dil
Jawaan lahu ki pur-asaraar shaaharaahon sey
Chale jo yaar to daaman pe kitne haath parey
Dayaar-e-husn key bey-sabr Khwaab-gaahon sey
Pukartii rahiin baahein, badan bulaatey rahey
Bahut azeez thi lekin rukh-e-sahar ki lagan
Bahut qareen tha haseenaan-e-noor kaa daaman
Subuk subuk thi tamannaa, dabii dabii thii thakan
Sunaa hai ho bhi chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
Sunaa hai ho bhi chukaa hai wisaal-e-manzil-o-gham
Badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastoor
Nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
Jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan
Kisi pe chaaraa-e-hijraan kaa kuchh asar hi nahin
Kahaan se aaii nigaar-e-sabaa, kidhar ko gai
Abhi chiragh-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hii nahin
Abhi garaani-e-shab mein kami nahin aai
Najaat-e-deeda-o-dil ki ghadi nahin ai
Chale chalo key wo manzil abhi nahin aai
No comments:
Post a Comment