kyu hamen mout k peygaam diye jate hain
ye saza kam to nhi ha k jiye jate hain
hm hain ek shama magar dekh, bujhte bujhte
roshni kitney andheroun ko diye jate hain
nasha dono me ha saaqi, mujhe gam dy k sharab
main b pee jati ha, aansoo b piye jate hain
tujh ko barson se q ha tark-e-tallauk ka khaayal
faiseley wo hain jo pal bhar me liye jatey hian
apni tareekh-e-mohabat k wo hi hain SOQRAAT
hans kr hr saans pr jo zehr piye jate hain
aabginoo ki tarah dil hian gareebon k FARAZ
toot jate hian kabhi tor diye jate hain
No comments:
Post a Comment