Dil ko sehra keejiye, aankho’n ko dariya keejiye
iss tarha bhi ek din apna tamaasha keejiye
mauj-e-sarsar ka koi jhonka udaa le jaaega
rett ki deewar par kab tak bharosa keejiye
ek zara si baat se sheeshe mein aa jaata hai baal
baat mein talkhi sahi, uncha na bola keejiye
waqt ki reg-e-rawaa’n se naqsh saare mitt gae
apne kadmo’n ke nisha’n mudd kar bhi dekha keejiye
kuch tumhaare zakhm hain, kuch apni mehroomi ke zakhm
kis ko pinhaa’n keejiye, kis ko haveeda keejiye
zindaqi kab tak hareef-e-shorash-e-dariya rahe
iss safeene ko kisi din garq-e-dariya keejiye.
No comments:
Post a Comment