Dasht-e-shab par dikhayee kya dengi
silavatein roshni mein ubhrengi
ghar ki deewarein mere jaane par
apni tanhaaiyo’n ko sochengi
ungaliyo’n ko taraash doo’n phir bhi
aadatan uss ka naam lik’khengi
rang-o-bu se kahee’n panaah nahi
khwaahishein bhi kahaan amaa’n dengi
ek khushbu se bach bhi jaau’n agar
doosri nikhatein jakad lengi
khidakiyo’n par dabeez parde ho’n
baarishein phir bhi dastakein dengi.
No comments:
Post a Comment