har shaam jalate jismo.n kaa gaa.Dhaa dhuaa.N hai shahar
mar-ghaT kahaa.N hai ko_ii bataao kahaa.N hai shahar
phuTapaath par jo laash parri hai usii kii hai
jis gaaon ko yaqiin thaa ki rozii-rasaan hai shahar
mar jaa_iye to naam-o-nasab puuchhataa nahiin
murdon ke sil-sile men bahut meharabaan hai shahar
rah rah ke chiiKh uThate hain sannaaTe raat ko
jangal chhupe hue hain vahiin par jahaan hai shahar
bhuuchaal aate rahate hain aur Tuuttaa nahiin
ham jaise muflison kii tarah saKht-jaan hai shahar
laTkaa huaa tren ke Dibbon men subah-o-shaam
lagtaa hai apanii maut ke muunh men ravaan hai shahar
No comments:
Post a Comment