Thursday, December 9, 2010

Hawa Se Dosti Rakhon To Ghar Roshan Nahi Rehta


Hawa Se Dosti Rakhon To Ghar Roshan Nahi Rehta
Chhatton Ko Dekh Loon To Yaad Phir Sawan Nahi Rehta

Gharibon Ki Ye Basti Hai, Kahan Se Shokhian Laoon
Yahan Bachay To Rehtay Hain, Magar Bachpan Nahi Rehta

Jo Tera Mera Rishta Hai, Faqat Dil Ki Kahani Hai
Jahan Per Kachay Dhagay Hon, Wahan Bandhan Nahi Rehta

Yahan To Kuch Bhi Mumkin Hai, Ke Ye Raah-E-Muhabbat Hay
Wahan Bhi Jeena Parta Hay Jahan Jeewan Nahi Rehta

Kahan Kis Kis Se Uljho Gay, Kaha Na Raah-E-Ulfat Hai
Yehan Kanton Ne Rehna Hai, Yehan Daman Nahi Rehta

Khalish Anjaan Ho To Tere Gham Se Jor Deta Hoon
Koi Ibhaam Aisey Main Pas-E-Uljhan Nahi Rehta

Yehan Shajar Ik Tha, Kisi Ki Yaad Thi Us Main
Agar Wo Ab Bhi Hota Soona Ye Aangan Nahi Rehta

No comments:

Popular Posts