Thursday, May 6, 2010

Khaamoshi... Mere haal ki khamoshi

Khaamoshi...
Mere haal ki khamoshi
Alfaaz ki yahan koi jagah nahi
Uljhi uljhi aur be'sukhan
Maflooj hua takhayul
Aur bazm-e-khayaal
Bilkul akeli
Aur saakin.

Khaamoshi...
Mere haal ki khamoshi
Jo taareekh me maratab ker paati
Phir se likhti apna istaqbaal
Sudhaar leti me apna dehakta salf
Aur mann-harran haal
Her yaad pe ek aansoo.. jub
Maa'ney rakhti hai.. na koi shay, na insaan.

Khaamoshi...
Mere haal ki khaamsohi
Kuch nahi naz-o-namood ke waastey
Na koi fail, na kirdaar
Be-langar.. behti hui
Reza reza huay khayaali paiker
Dhundla gay sub aks.. be'nuqta sub haal ke saath
Hai ye waqt-e-baazgasht ya hai waqt-e-maraj'aat?

Khaamsohi...
Mere haal ki khaamoshi
Rokay rakha in muzahmaton ne
Samjhoton-o-makaariyon ne
Khud'azeeyatain aur Khud'aazariyan
Un'kahe khayalaat..
Jokh-e-waadi-e-margazar me
Her dam rahe mere saath.

Khaamoshi...
Mere haal ki khaamoshi
Kyun de rahi hoon khud ko saza
Jub mera khayaal tera khayaal nahi
Aur mere khwaab tere khwaab nahi
Bhatakne do..
Inhein asoodgi me
Khaamoshi ki dehshat me.

No comments:

Popular Posts