Yeh jii Chahta hai Tumhein khat Likhon
Magar sochta hon kay khat Main Tumhain
Wafaa Aashna, be-Murrawat Likhon
Likhon kiya Agar main Tumhain khat Likhon...
Woh Waadey Likhon yah woh Qasmein Likhon
Woh Milnay Milaanay ki Rasmain Likhon
Un Aankhon kay Woh surkh Dooray Likhon
Larztay Labon kay Katoray Likhon
Tabassum kay Sholay Shararay Likhon
Shararat kay Rangeen ishaaray Likhon
Hoee Baat khaamoshyon Main Likhon
Katii Raat Sargoshyon Main Likhon
Fasaana Likhon yah Haqeeqat Likhon
Likhon kiya Agar Main Tumhain khat Likhon...
Nazar Rah Guzar Dar Dareechay Likhon
Haram Farsh Chilman Ghaleechay Likhon
Khalish karb Zakhm-e-Tammanna Likhon
Junon Bekhudi Jaam-o-Meena Likhon
Jafa Berukhi Bainiyaazi Likhon
Haqeeqi Muraadi Majaazi Likhon
Dil aaraa Dil Aazaar Dilbar Likhon
Sanam Sangpaara Sitamgar Likhon
Tumhaari Adaa Apni Wehshat Likhon
Likhon Kiya Agar Main Tumhain khat Likhon...
Mulaqaat ka Aakhri Pal Likhon
Main Daaman Likhon yah kay Aanchal Likhon
Glogeer Afsurdaa Gharyaan Likhon
Woh Namnaak Palkon ki Ladyaan Likhon
Kashakash Hawaadis Salasil Likhon
Hayaat-o-Ajal ka Main Haasil Likhon
Ghazal, Nazm, Qata, Rubaii Likhon
Hadees-e-Dam-e-Alwidaai Likhon
koi khat Likhon yah Wassiyat Likhon
khon kiya agar Main Tumhain khat Likhon.
No comments:
Post a Comment