Thursday, May 6, 2010

abhi kuch waqt baqi he kali ko phool ban'ne main

abhi kuch waqt baqi he
kali ko phool ban'ne main
or us ki shaakh per
kuch or nai konpal nikalne main
abhi main hun bohat chota
meri mama ye kehti thin
ke bachon ki dua ko tum
kabhi bhi rad nahin kerte
mere papa bhi kehte the
ke tujh se jo bhi kuch maango
tu deta he, tu data he
to ay pyaare se Allah jee
meri mama mere papa
ke jin ko kal bohat se log
tere paas chor aaye
to ab wo tere mehman hain
mere pyaare se Allah jee
tujhe maloom he sab kuch
ke kal ki raat jab
khaala ne mujh se ye kaha
ke ab mama mere papa
kabhi wapis na aain ge
to mujh ko kis qader takleef ponhchi thi
main saari raat roya tha
na saari raat soya tha
mere pyaare se Allah jee
zara mujh ko batana tu
meri mama mere papa
na jab tak raat ko
mujhe pyaar ker laite
na sukh ki neend sote the
to kia kal raat wo donon bhi
mere sath jaage the
mere pyaare se Allah jee
main un bin reh nahin sakta
abhi main hun bohat chota
main tujh tak aa nahin sakta
nahin maaloom he rasta
tu aisa ker
meri mama mere papa
ko lota de

No comments:

Popular Posts