Monday, August 9, 2010

jo jeene aur hone ke beech ka farq nahi samajhtaa

Prashant Vasl 


jo jeene aur hone ke beech ka farq nahi samajhtaa
Vo mujhe nahi samajhtaa
Kyunki mere liye sirf jeena
SaansoN ke aane Jaane ko kehte hain
Aur ye to COMA ke Mareez mein bhi hota hai
Jo jeete huye bhi nahi jeeta
Hote huye bhi nahi hota

Hona waqt ki sakht zameen per
jeete ji, apne wajood ke nishaan chodnaa hai
Hona samay ki tez lehroN ko
Thoda sa hi sahi
kisi sarthak disha mein modna hai
aik aesi disha mein, Jiske ksheetij per
tumhaara Naam jadaa ho
Chota sa hi sahi

Main hona chahta hoon, us samay bhi
jab mujh mein saansoN ka ye silsila toot jaaye
main hona chahta hoon, us seema ke baad bhi
Jahaan mera shareer peeche choot jaaye............

No comments:

Popular Posts