Monday, August 9, 2010

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho



Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey Ho

Mastaana Hawa Kay Jhonkoun Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko PakaDney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna




Aankhoun Mein Dhonya Sa Chaa Jaana Saasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rastey Mein Tumhara MurD MurD Kar Takna Woh Mujhe Jaatey Jaatey


Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareeb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey



Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Paatey Hi Kuch Sharmaana, Kuch Bal Khaana


Humsayoun Kay Darr Se Katraana, Ghar Waloun Kay Darr Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon


Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon


Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey Ho

No comments:

Popular Posts