dil hi thay hum dukhay huay tum ne dukha lia to kia
tum bhi to be aman huay humko s ata lia to kia
apke ghar mein hur taraf manzar e mah o aftab
aik charagh e shaam agar mein ne jala lia to kia
bagh ka bagh apki dastaras e hawas mein hai
aik ghareeb ne agar phool utha lia to kia
lutf ye hai ke admi aam karay bahar ko
mouj e hawa e rang mein ap naha lia to kia
ab kahain bolta nahi ghaib jo kholta nahi
aisa agar koi khuda tum ne bana lia to kia
jo hai Khuda ka admi uski hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar hath mila lia to kia
ajki hai jo kerbala kal pe hai uska faisala
aj hi apne agar jashn mana lia to kia
loog dukhay huay tamam rang bujhay huay tamam
aisay mein ahl e shaam ne shehar saja lia to kia
perhta nahi hai ab koi sunta nahi hai ab koi
harf jaga lia to kia shair suna lia to kia
No comments:
Post a Comment