Kitna bebas mere muqaddar ka sitara nazar aya,
Siwaye apne gher k roshan sara jahaan nazar aya
Mai wo bekasi ka sawaal hun k aansu bhi na baha saka khud per,
jab lut gaya aashiyana mera tab sara jahaan nazar aya
Mera luta hai aashiyana basne se pehle Yaaro,
kaise keh dun sare mehfil us waqt kya kya nazar aya
Bhale hi cheen lo binai meri ,
bina binaayi k bhi unka chehra nazar aya
Ye unka husn-e-khayaal hai ya kamaal hai mere zabt ka,
mai luta luta sa tha mager sab ko basa basa nazer aya
Kisi ne mujhe se tanhai me sawaal pocha tha,
zubaan se siskiyaan aur aankhon me lahoo nazer aya
Apni daastaane gham kya bayaan kerta Hussaini,
wo bikher chuka hai is khader k zarra zarra nazar aya
No comments:
Post a Comment