Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha
Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha
Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha
Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha
Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha
No comments:
Post a Comment