Gar mujhe iska yaqeeN ho mairay hum dum mairay dost
Roaz o shab shaam o saher
Main tujhay behlata rahooN
Main tujhay geet sunata rahooN
Halkay shereeN
voh absharooN kay
baharooN kay
chaman nazarooN kay geet
Amad e subh kay
Mehtaab kay
SaiyarooN kay geet
Tujh say main husn o muhabat ki
Hikayaat kahooN
Kaisay maghroor haseenaooN kay barfaab say chais
Gar muhabat ki hararat say pighal jatay hain
Kaisay ik chehray ki tehray hoay manoos naqoosh
Daikhtay daikhtay yaklakht badal jatay hain
Kis tarhaaN aariz^e^mehboob ka shafaf baylaur
yek bayak baada^e^ahmer say dehek jata hay
Kaisay gulcheeN kay liyay jhukti hay khud shaak^e^gulab
Kis tarhaaN raat ka eayvaan mehek jata hai
Yunhi gata rahooN gata rahooN tairee khatir
Geet bunta rahooN baitha rahooN tairee khatir
Par mairay, geet tairay, dukh ka mudava hi naheeN
Naghma jarra naheeN, munh main sau gham kha sahi
Geet nashtar to naheeN marham^e^aaza sahi
Tayray aazaar ka
Tayray aazaar ka
chara naheeN
nashtar kay siva
Aur yeh safak maseeha
mayray qabzay main naheeN
Is jahaN kay kisi zeerooh kay qabzay maiN naheeN
HaaN magar tayray siva
Tayray siva
Tayray siva…
No comments:
Post a Comment