Tuesday, August 20, 2013

mujh say pehlay kay din

mujh say pehlay kay din
aab bohat yaad aanay lagay hain tumhain
khawb o tabeer kay gum'shuda silsalay
baar baar ab satanay lagay hain tumhain
dukh jo pohanchay thai tum say kissi ko kabhi
 dair tuk ab jaganay lagay hain tumhain
aab bohat yaad anay lagay hain tumhain
apnay woh ehad o paymaan jo mujh say na thai
kaya tumhain mujh say aab kuch bhi kehna nahi ?

No comments:

Popular Posts