Tuesday, August 20, 2013

Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai

Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai
Wo hansti ankhein pocchti hein kitna gehra pani hai

Be-Taab hawa key jhonkon ki faryaad suney tu kaun suney
Mojon pe tarpti kashti hey aur goonga behra paani hai

Basti key gharon ko kaya dekhay Bunyaad ki hurmat kaya jaaney
Selaab ka shikwa kaun karay ,Selaab tu andda Pani hai  

Yeh Raaz samaj mein kaab aata,Ankhon ki nami samja hon
Iss Gard-o-Ghubar ki dunia mein her cheez se sacha Pani hai

No comments:

Popular Posts