Tuesday, August 20, 2013

chahta hoon keh bhool jaoon tumhain

chahta hoon keh bhool jaoon tumhain
aur yeah sab dareecha haa'e khayal
jo tumhari hee simat khultay hain
band kar doon kuch iss tarhan keh yahaan
 yaad ke ik kiran bhi aa na sakay
chahta hoon keh bhool jaoon tumhain
aur khud bhi na yaad aoon tumhain
jaisay tum sirf aik kahaani theen
jaisay mein sirf aik afsaana tha

No comments:

Popular Posts