Tuesday, August 20, 2013

khayaal o khawb ko aab mil nahi rahi hai aman

khayaal o khawb ko aab mil nahi rahi hai aman
naa ab woh masti e dil hai na ab woh nasha e jaan
 na toot jaye kaheen silsala tamana ka
jo dard o dil ka tha rishta ussay bahaal karoo
nahi hai gardish e saghir tu gardish e khoon hai
so apni gardish e khoon say hee kuch sawal karoo
zara tu silsala e rung ka khayaal karoo
 zawaal e haal kay din hain koye kamaal karoo
hay fasal e yaas tu khud ko koye faraib he dain
koye umeed dilaoo keh arzoo tu rahay
nazar uthay na uthay dil he kuch thehar jaye
qadam uthain na uthain koye justajo tu rahay
 ho charah e gham e jaan kaya yeah guftago tu rahay
keh dil kay haal ko pur majra tu rakhna hai
khayal e naz o lehaaz e ada tu rakhna hai
na pee'jiyeah may e hasar babang e ching magar
kissi ke chasham say kuch silsala tu rakhna hai
jo dil ka khoon howa hai ussay bhula dian kaya
hisaab e baish o kam e koon baha tu rakhna hai
shab e daraz e judai hai arzo ke hareef
so zakham e shouq ko jalta howa tu rukhna hai
na toot jaye kaheen silsala tamana ka

No comments:

Popular Posts