Tuesday, August 20, 2013

Aman ki baat mein takraar bhi ho sakti hai

Aman ki baat mein takraar bhi ho sakti hai
Shaaq zaitoon ki talwaar bhi ho sakti hai

Jis ke saaye mein aman dhond rahi hai duniya
Koi ghirti hui deewar bhi ho sakti hai

Yeh alag baat ke lab si liye mein ne warna
Khamooshi yeh meri lalkaar bhi ho sakti hai

Ho raha hai sare bazaar yeh jis ka neelaam
Mere aslaaf ki dastaar bhi ho sakti hai

Oonchi dewaarein agar is ki giraadi jaayein
Toh haveli yeh hawadaar bhi ho sakti hai

Yeh nai nasal bhatki hai jo taareeki mein
Kya viraasat ki yeh haqdaar bhi ho sakti hai

Meri haq goi ka unwaan khata hai to Ali
Yeh qata mujh se kai baar bhi ho sakti hai.

No comments:

Popular Posts