Saturday, May 29, 2010

Jheelein Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi




Jheelein Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi, 
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai, 

Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai, 
Phool Samajh Kar Kaanto Par Chalna Kaisa Lagta Hai, 

Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai, 
Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai, 

Mehfil Mein Doosronse Hans Hans Kar Milte Hai, 
Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahane Kaisa Lagta Hai, 

Samjhane Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil, 
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai, 

Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke, 
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kasia Lagta Hai, 

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Kare Dusron Se, 
Tab Apne Aansuon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai, 

Use Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi, 
Phir Bhi Khud Ko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai, 

Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand, 
Phir Bhi Bemool Bik Jaana Kaisa Lagta Hai, 

Khaye Haidhoke Mohabbat Mein Itne Ke, 
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai, 

Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi, 
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai, 

Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai, 
Phir Bhi Iska Intezar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...

No comments:

Popular Posts