Saturday, May 29, 2010

Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai


Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai, 
Ke Gar Abad Ho Jaye, 
To Duniya Ka Har Ek Mausam, 
Bahut Shadab Lagta Hai, 
Hamari Rooh Bewajah, 
Anokhi Roshni Se Jagmagati Hai, 
Har Ek Manzar Mukammal Husn Lagta Hai, 
Yun Lagta Hai Ke Ek Pal Mein, 
Hai Saari Umr Hi Jee Li, 
Tamanna Hi Nahi Hoti, 
Ke Dooji Umr Hum Paayein, 
Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai, 
Ke Gar Barbaad Ho Jaye, 
To Har Mausam Khizan Ka AQs Lagta Hai, 
Har Ek Manzar Tabah Barbaad Lagta Hai, 
Hamari Rooh Bhi Bujh Kar, 
Bahut Gehre Andhero Mein,
Kahin Par Doob Jaati Hai, 
Aur Hamein Usko,
Andheron Ki Tarafse Dubara Roshni Mein Jagmagane Ke Liye, 
Ek Dusri Hi Zindagi Darkar Hoti Hai, 
Jo Qismat Mein.........Nahi Hoti!!!

No comments:

Popular Posts