Saturday, May 29, 2010

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum, 
Phir Bichhadne Ka Dar Kaisa, 
Meri Har Dhadkan Mein Aap Ho Shamil, 
Phir Aapki Judayi Ka Gam Kaisa, 

Deedar-E-Yaar Ki Khatir Jee Rahe Hai Hum, 
Unki Talash Hai Ab Har Taraf, 
Umr-E-Tamam Kisike Naam Kar Diya Humne, 
Ab Maut Se Bhi Hamein Ghabrana Kaisa, 

Aapki Yaad Yun Zindagi Ki Mehka De, 
Bahar Bankar Fiza Mein Rang Bhar De, 
Sanwaara Hai Mujhe Aapne Is Kadar, 
Ke Patjhad Se Bhi Ab Nazrein Churana Kaisa, 

Sitaron Ki Mehfil Saji Thi Har Taraf, 
Phir Bhi Roshni Ko Taras Gaye The Hum, 
Mehtaab Jo Ban Gaye Aap Zindagi Ke, 
Ab Andheron Ka Humse Naata Kaisa, 

Khuda Se Jo Maangi Humne Duwayein, 
Kabool Kiya Unhone Hamari Mohabbat Ko, 
Zamana Hamein Ab Baddua De Bhi To Kya, 
Hamein Ab Zamane Se Shikayat Kaisa...

No comments:

Popular Posts