Saturday, May 29, 2010

Hamara Kya Hai Ke Hum To Chirag-E-Shab Ki Tarah


Hamara Kya Hai Ke Hum To Chirag-E-Shab Ki Tarah, 
Agar Jale Bhi To Bas Itni Roshni Hogi, 
Ke Jaise Tund Andheron Ki Raah Mein Jugnu, 
Zara Si Der Ko Chamke, Chamak Ke Kho Jaye, 
Phir Is Ke Baad Kisiko Na Kuch Sujhayi De, 
N Ashab Kate Na Surag-E-Seher Dikhayi De, 
Hamara Kya Hai Ke Hum To Paas-E-Gubaar-E-Safar, 
Agar Chale Bhi To Bas Itni Raah Tay Hogi, 
Ke Tez Hawaon Ki Zard Maail NaQsh-E-Qadam,
Zara Si Der Ko Ubhre Ubhar Ke Mit Jaye, 
Phir Uske Baad Na Rasta Na Reh Guzar Mile, 
Hadd-E-Nigaah Talak Dasht-E-Bekinar Mile, 
Hamari Simt Na Dekho Ke Koi Der Mein Hum, 
Qabila-E-Dil-O-Jaan Juda Hone Wala Hai, 
Base Basaye Hue Sheher Apni Aankhon Ke, 
Misaal-E-Khaana-E-Veeran Ujadne Wale Hai, 
Hawa Ka Shor Ye Hi Hai To Dekhte Rehna, 
Hamari Umar Ke Khaime Ukhadne Wale Hai...

No comments:

Popular Posts