Wednesday, June 2, 2010

Yeh Manzil Aakhri Kab Hai, Abhi To Ibteda Hogi

Yeh Manzil Aakhri Kab Hai, 
Abhi To Ibteda Hogi, 
Naye Afkar Mehkenge, 
Kahin Halchal Nai Hogi, 
Safar Ki Dastano Mein,
Tafaqur Ke Zamano Mein,
Yehi Dilko Guman Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi, 

Had-E-Imkaan Se Aage, 
Bahut Se Raaste Honge, 
Bade Dilkash Jazeeron Se, 
Nazar Ke Faasle Hoge, 
Uffaq Ke Paar Jana Ho, 
Dhanak Ka Raaz Pana Ho, 
To Phir Jazba Jawan Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi, 

Kabhi Taseer Jab Hogi, 
Kisi Mokhlis Ki Baaton Mein,
Wafa Ki Dastan Lab Par, 
Sunehri Chand Raton Mein,
Ghata Ghanghor Chayegi, 
Fiza Nagme Lutayegi, 
Teeqan Ka Saman Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Fareb Zindagi Se Hum
Abhi To Bahel Jayenge, 
Nazar Mein Aarzu Ke, 
Haseen Sapne Sajayenge, 
Pahuch Kar Manzilon Par Jab,
Nayi Manzil Pukaregi,
To Phir Khud Par Ayyan Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Wafa Ke Raazdano Ko
Yunhi Din Raat Chalna Hai,
Jahan Ki Thokar Main Bhi, 
Hamein Girkar Sambhalna Hai, 
Mukaddar Phir Sawarengi
Kathin Raahein Pukarengi
Sankhor Karwan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Magar Safaq Lamhon Mein,
Agar Ek Saans Ruk Jaye,
Dil Betaab Chupke Se
Nazar Ke Sath Jhuk Jaye, 
Fiza Bhi Ruth Jaye To, 
Ye Daman Chhoot Jaye To, 
Koi Noha Kana Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...



_________________

No comments:

Popular Posts