Shaam Doobi To Beqarari-E-Dil,
Yun Badhi Jaise Janib-E-Saahil
Mauj Toofan-E-Tand-O-Tez Badhe,
Jaane Kyon Dabdabayi Aankhon Se,
Teri Tasveer Dekh Kar Maine
Keh Diya Kitni Bewafa Hai Tu,
Aur Teri Tamam Tasveerein
Husn Ki Lazawal Tehreerein,
Maine Besakhata Ulat Dein,
Ishq Pechaan Ki Bail Khidki Par,
Tandi-E-Badekh Se Ghabra Kar,
Raat Bhar Apna Sar Patakti Rahi,
Ek Ajab Ajnabi Tarike Se,
Aakh Ke Neemva Dareeche Se,
Neend Aa Aa Ke Laut Jaati Rahi,
Poo Phatti Doobne Lage Tere,
Muskurate Shafaq Ke Nazare
Ishq Pechaa'n Ke Phool Khil Uthe,
Maine Tasveerein Jo Ulat Di Thi,
Par Qareene Se Mez Par Rakh Di Thi,
Aur Khud Hans Pada Najane Kyon...
No comments:
Post a Comment