Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye,
Yani Ab Jurm-E-Aseere Ki Saza Di Jaye,
Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Royein Aur Hasein,
Behisi Waqt Ki Awaz Bana Di Jaye,
Dasht-E-Naadidaa Ki Tahaqiq Zaroori Hai Magar,
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye,
Sirf Jalna Hi Nahi Humko Bhadkana Bhi To Hai,
Ishq Ki Aag Ko Laazim Hai Hawa Di Jaye,
Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,
Aur Ek Takaza Sitam Usne Kiya Ijaad,
Usko Is Baar Zara Khul Ke Duwa Di Jaye...
No comments:
Post a Comment