Sunday, April 26, 2009

Yeh Raat Bepanah thi aur may Ghareeb Tha

Yeh Raat Bepanah thi aur may Ghareeb Tha
Woh Jis Nay yeh Chiragh Jalaya Ajeeb Tha..

Woh Roshni keh Aankh Utha'e nahi Gai…….
Kal Mujh say mera Chand bohat he Qareeb Tha

Rakhta na Kyun may Rooh-o-Badan Uskay samnay
Woh yun bhi tha Tabib ,woh yun bhi Tabib Tha

Her Silsila tha Uska Khuda say mila hoa…….
Chup ho K Lub Kusha ho ,Bala ka Khateeb Tha

May Bhi Raha hoon Khalwat-e-Janaa me Aik Shaam
Yeh Khawab hay ya Waqai May Khush Naseeb Tha

Herf-e-Dua-wa-Dast-e-Sakhawat kay Bab me
Khud Mera Tajorba hay Woh behad Najeeb Tha

Dekha hay Usko khalwat-o-Jalwat me Barha
Woh Aadmi bohat hi Ajeeb-o-Ghareeb Tha

Likhho Tamam Umr magar Phir bhi Tum FAYSAL
Usko Dikha na pao woh Aisa Habib Tha.

Popular Posts