Saturday, August 21, 2010

Halaat jo mere bhi thore se saazgar hote



Halaat jo mere bhi thore se saazgar hote …..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …..

Magar kiya Karen mujhe mohabbat raas nahin aati…
Koi bhi haseena mere pass nahin aati ……..
Jin adaon se dil ko lubhaya jata hai ….
Mujhe woh ada koi khaas nahin aati ….

Hum bhi jo thore se samajhdar hote ..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …

hamen chehre pe naqab charhana nahin aata….
Dil tor ker kisi ka muskurana nahin aata ….
Hamari sadgi hi bani hai hamari dushman ..
Jhoote wadon se dil lubhana nahin aata….

Aap jo thore se wafa shuar hote ….
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …

Kiya Karen ke hum se naaz uthaye nahin jate
Kandhon se kisi ke zulfen hataye nahin jate ..
Uljhane pehle hi kafi hain mere saath ….
Aur jhamele mujh se barhaye nahin jate ..

Jo na hamare saath ghame rozgar hote ….
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote …..

Kisi ke husn ke qaseede main parh nahin sakta ..
Deewangi main kisi ke had se barh nahin sakta ..
Larta rahta hoon roz apne hi halat se main ..
Kisi ke khatir zamane se lar nahin sakta …


Junoone mohabbat jo sar pe sawar hote..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

Na rozi ka thikana hai na rozgar ka …
Dekha nahin note kab se maine hazar ka …
Roz hi jeete marte hain dil main hasraten ..
Kaise rakhoon hisab arzoo –e-beshumar ka ..

Jo hum na yun bilkul bekar hote …
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote…..

Kiya faida kisi se ab shikayet ka …
Main bhi hissa hoon zamane ki riwayet ka..
Kahaniyan humne bohat suni to thi magar …
Liya na asar koi buzurgon ki hidayet ka ..

Na dil main shikway hazar hote ..
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

Humne bhi kabhi kisi se dil lagaya tha …
Ab tak yaad hai *** aisa dil pe khaya tha
Jab baat chali dagha ki to uski yaad ayee..
Bari mushkil se humne jise bhulaya tha…..

Tajrubay aise talkh na agar yaar hote …
To shayed dilon main mohabbat ke karobar hote

No comments:

Popular Posts