Duniya ke log khushiyaan manaane mein reh gaye
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye
kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hain dehr mein
mit kar bhi jin ke naam, zamaane mein reh gaye
mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane mein reh gaye
aansuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhupaane mein reh gaye
khud sar-baland ho na sake umr-bhar kabhi
apne harif ko jo jhukaane mein reh gaye
sikhaa nahi zamaane se chhotaa sa ik sabaq
taa-uumr duusroon ko sikhaane mein reh gaye
apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham log khote sikke chalaane mein reh gaye
insaan bhi jalaaye gaye lakriyoon ke saath
ham hain k apni jaan bachaane mein reh gaye
No comments:
Post a Comment