Saturday, August 21, 2010

Aghosh-e-sukoon se wisl kiye muddat hui


Aghosh-e-sukoon se wisl kiye muddat hui,
ke ankhlag jaye to dar jata hu main.

is dil ko tanhayon ki adat si hui,
ke baronaq jhumghaton se palat ata hu main.

is zehn ko bharoson se nafrat si hui,
ke haath koi thaamay to dar jata hu main.

yu to rafeekon ki kami nahi is jahan main,
gar koi apna sa lagay to dar jata hu main.

pachtawa to hota hai sookha pairh(tree) dekh kar,
phir chashm se ashkon ke hijr pe pachtata hu main.

is dunya ki rangeeniyan aisi pheeki si hui,
ke gehra lagay koi rang to dar jata hu main.

sirf ek shakhs ki yaad taaza hai is dil main,
gar wo yaad na aye to murjha jata hu main

No comments:

Popular Posts