Azaab-e-Deed Mai Ankhain Lahoo Lahoo Ker Kay
Mai Sharumsaar Howa Teri Justujo Ker Kay
Khander Ki Teh Se Bareedha Baddan Siroon Kay Siwa
Mila Na Kuch Bhi Khazanoo'n Ki Arzoo Kar Kay
Suna Hai Shaher Mai Zakhumi Diloo'n Ka Maila Hai
Chalain Gay Hum Bhi Mager Pairhan Raffu Kar Kay
Musaafut-e-Shub-e-Hijraa'n Kay Baad Bhaid Khula
Hawa Dukhi Hai, Chiraaghoo'n Ki Abruu kar Kay
Zamee'n Ki Piyaas Usi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye
Wo Khush Howa Tha Samander Ko Abb-Joo Kar Kay
Yeh Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Khiraaj Phir Manga Hai
Abhi Tu Soai Thay Maqtil Ko Surkhroo Kar Kay
Jaloos-e-Ehal-e-Waffa Kis Kay Der Pay Phoncha Hai
Nishaan-e-Touq-e-Waffa Zeenat-e-Guloo Kar Kay
Ujaar Rut Ko Gulaabi Bannai Rukhti Hai
Humari Ankh Teri Deed Se Wazzu Kar Kay
Koi Tu Habs-e-Hawa Se Yeh Pochta MOHSIN
Mila Hai Kia Usay Kaliyoo'n Ko Be-Namuu Kar Kay
No comments:
Post a Comment