Nama to humne bheja hai usko saba ke haath
ab dekhiye lage na lage aashna ke haath
phir yaad aa gaii.n mujhe mehroomiya.n meri
dil beTh sa gaya dua ko uTha ke haath
jaane kis aastee.n se pukaare mera luhu
munsif adaalato.n mein hain beThay chhupa ke haath
duniya bhi tere saath hai dil bhi teri taraf
ab mera tera faisla Thehra khuda ke haath
us sard meher ki sitam ijaadiyaa.n na pooch
jo taapta tha mere khato.n ko jalaa ke haath
umro.n ki dosti ka sil yeh mila ke woh
rukhsat hua to bas yunhi rasman hila ke haath
aye shikwa sanj-e-shiddat-e-aghyaar shukr kar
tujhko lage nahin hain kisi aashna ke haath
tajdeed-e-dosti hai to aye mere zood ranj
thoRa sa muskura ke zara sa baRha ke haath
chaak-e-qaba pe meri nazar thi ke yaar ne
jaldi se rakh diye meri aankhon pe aa ke haath
saaqi ne kitne pyar se dekha FARAZ jab
maangi sharab main ne pyala bana ke haath
No comments:
Post a Comment