Friday, April 15, 2011

Meri afsurdgi sey pareshaan naa ho


Meri afsurdgi sey pareshaan naa ho
Too meri talkhiyun kaa sabab tou nahin

Teri aankhain tou meri hi damsaz hain
Thein kabhi ajnabi lakin abb tou nahin

Tujh ko meri musarrat muqaddam sahi
Tera gham mujh ko wajh-e-tarab tou nahin

Tera ehsaan hay too ney meray liye
Apni palkoon say raahon key kantay chuney

Khud kari dhoop main reh key merey liye
Tou ney zulfoon kay shadaab saye bunay

Meri khatir zamanay ko paagal kahaa
Meri khatir zamanay kay tanay sunay

No comments:

Popular Posts