Friday, April 15, 2011

Main hon majnoon mera andaz zamanay wala


Main hon majnoon mera andaz zamanay wala
teri nagri main to pathar nahin khany wala

tu nay daikha hi nahi sath mery chal ky kabhi
main hon tanhai ka bhi sath nibhanay wala

mujh ko tum dasht e taheer main no choro tanha
khof taari hai ajab dil ko daranay wala

khof ata hai mujhy apni hi tanhai sy
roth jata hai koi mujh ko mananay wala

dil wo sheesha k tera aks liye phirta hai
roz aata hai koi is ko mitanay wala

is ki har bat sir ankhon pay liye phirta hon
mujh ko accha bhi to lagta hai rulanay wala

is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai
main wohi hon tera kirdaar fasanay wala

har qadam soch samjh kr hi uthana ay dil!
tera rehbar to nahin rah batanay wala

chahay jitni bhi safarish karo is ki
main teri baton main hargiz nahin anay wala

No comments:

Popular Posts