Muntazir kab se tahayyur hai teri taqariir kaa
baat kar tujh par gumaa.N hone lagaa tasviir kaa
raat kyaa soye ki baaqii umr kii niind u.D ga_ii
Khvaab kyaa dekhaa ki dha.Dakaa lag gayaa taabiir kaa
jaane tuu kis aalam me.n bichha.Daa hai ki tere baGair
aaj tak har lafz fariyaadii merii tahariir kaa
jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bha.Dakaataa rahe
mai.n ne vo aalam bhii dekhaa hai terii tasviir kaa
kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqadiir kaa
ishq me.n sar pho.Danaa bhii kyaa ke ye be-meher log
juu-e-Khuu.N ko naam dete hai.n juu-e-shiir kaa
jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'Faraz'
si_-silaa TuuTaa nahii.n dard kii zanjiir kaa
No comments:
Post a Comment